ISLAMIC BOOKS ISLAMIC NAAT ISLAMIC PAGE ISLAMIC WEBSITE ISLAMIC WALLPAPERS ISLAMIC BLOG NAAT KHAWAN PICTURES MUFTI PICTURES HD WALLPAPERS PAKISTANI MAHAFIL E MILAD PICTURES BEAUTIFUL HD PICTURES اے کاش برس جائے یہاں نور کی بارش ایمان کے شیشوں پر بڑی گرد جمی ہے

Sunday, 17 May 2015

Aey Sabz Ghumbad Waale

Aey Sabz Ghumbad Waale Manzoor Dua Karna
Jab Waqte Naza Aaey Didaar Ata Karna
Aey Noorey Khuda Aakar, Aankho Mei Sama Jaana
Ya Dar Pe Bula Lena, Ya Khwaab Mei Aa Jaana
Aey Pardaah Nashi Dil Ke, Parde Mei Raha Karna
Mehboobe Ilaahi Sa, Koi Na Hasin Dekha
Yeh Shaan Hai Unki Ke, Saayaah Bhi Nahi Dekha
Allah Ne Saaey Ko, Chaaha Na Juda Karna
Maí Qabr Andheri Mei, Ghabraa-Unga Jab Tanha
Imdaad Ko Meri Tum, Aa Jaana Zara Shaaha
Roshan Meri Turbat Ko, Lillaah Zara Karna
Mujrim Hu Jahaa Bhar Ka, Mehshar Mei Bharam Rakhna
Ruswaaey Zamaana Hu, Aaqa Kamli Mei Chupa Lena
Maqbool Dua Meri, Mehboobe Khuda Karna
Chehre Se Ziya Paai, Sab Chaand Sitaaro Ne
Is Dar Se Shifa Paai, Dukh Dard Ke Maaro Ne
Aata Hai Unhe Sabir, Har Dukh Ki Dawa Karna

Ae Shahenshah E Madinah

Aye Shahenshahe Madina Asslatowasslam
ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam
zeenat-e arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam
rabbi-habli-ummati kehte huway paida huay
rab ne farmaya ke bakhsha assalat-o-wassalam
ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arsh-e mu’alla, assalat-o-wassalam
sar jhuka kar ba adab ishq-e rasoolallah may,
keh raha he har sitara assalat-o-wassalam
ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arshe-e mu’alla, assalat-o-wassalam
mu’mino padhthay raho tum apnay aqa par durood
he farishto ka wazifa, assalat-o-wassalam
ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arshe mu’alla, assalat-o-wassalam
mein woh sunni hu jamil-e qadri marnay ke ba’d
mayra laasha bhi kahe ga assalat-o-wassalam
ae shahenshah-e-madina assalat-o-wassalam
zeenat-e-arshe mu’allah, assalat-o-wassalam
jab firishtay qabr mein jalwa dhikha-e aap ka
ho zabban par pyaare aqa, assalat-o-wassalam,
ae shahenshah-e-madina, assalat-o-wassalam,
zeenat-e-arsh-e mu’allah, assalatowassalam.

Ageya Wo Noor Wala

Subho Meelade Nabi he kya suhana Noor he
Agayaa wo noore waala jiska saara Noor he
Aankh waalo aawo dekho maahe Tayba ki ziyaa
Aasmaan ke chand me to peeka peeka Noor he
Tu na hota, to na hota do jahaan ka intizaam
Tu zameen ka noor he, tu asmaan ka Noor he
Jisne jo kuch Noor payaa sub Teri Sarkaar se
Noor ki Sarkaar ka to subse pehla Noor he
Jistaraf ko ut?gayee aalam munaw?war hogaye
Me Teri Aankho ke Sadqe in me kitna Noor he
Mustafa ke noor me he Zaate Baari Jalwa ghar
Mustafa ka Noor yoon kehte! Khuda ka Noor he
Istaraf bi ek nighahe Noorale Noorala
Me sarapaa ma?siyat hoon Tu sarapaa Noor he