-
Din Main 5 Time Namaz Parho
Din Mai 5 time Namaz Parhne ko Apne Aadat
Bana Lo
Sirf ye soch Kar k kya pata k ye Azan Tm
Aakhry Bar Sun rhe ho?
Kya pata Tmhara Rab Tumhai Aakhre bar Pukar
Raha Hai?
80% log Tum mai se ise fwd nahe krte.
ALLAH TALLAH frmate hai k agar Tum apne Logo
k Samnay
Mujhe Radd Kroge to Mai Tumhe Apne nazar mai
Radd kar Dunga!
-
Fahesh Goi Aibdar Karti Hai
Nabi (s.a.w) said: Fahesh Goi jis Cheez mein
Hoti Hai
Usko Aebdaar karti hai,
Aur Haya jis Cheez mein Hoti Hai
Usko Zeenat Deti Hai. Tirmizi
-
Choti Zaroorat Nhi Bholta
Ta'ajjub Hai:
KHUDA Apni Itni Sari Makhlooq Me Se Bhi
Meri Choti Se Choti Zaroorat Nhi Bhoolta.
Or
KHUDA To Ek Hi He,
Phir Bhi HUM Use Bhool Jate Hain.
-
Islam doesn't Limit Freedom
A Girl Dresses up Trying to look as pretty
as possible.
Applies make-up & styles her hair.
She wants to look attractive.
She goes out, comments form men flatters
her.
They stare at her develop dirty thoughts &
Some would want to act upon their thoughts &
some do. She didn't want that Or did she?
THINK
When Islam advises women to cover themselves
& be simple,
Its not without a reason. Islam doesn't
limit the Freedom of Women
But to make them more Independent.
-
Head light Pe ALLAH k Name
Aj Kal Bikes ki Head light Pe ALLAH k Name K
Sticker lagy Hoey hoty hain.
Jab light Jalti hai to Us ka Aks Zamin Pe
Parta hai
Jo k Be'Adbi hai... Khayal Rakhen Plz.
-
Quran K Bina Musalman
Koi DOCTOR Science Oarhe bina Doctor ban
Sakta hai?
Nahi na?
To
Sochiye K
Hum QURAAN Aur NAMAZ parhe Bina MUSALMAN
kesy Banain Gey?
THINK ABOUT IT.
-
Kon Kon Si Naimat ko
Jhutlaogy
Khudawnd Kareem k dunia Walon pe 3 Ehsan
1. Gandam or Anaaj mein keerey paida kar
diye,
Warna log issay soney or Chandi ki tarah
Zakheera Kar Letay
Aur log bhookey Mar jate.
2. Mout k baad murdey k jism mein Badboo
Paida Ki
Warna koi Apne Pyaaro ko Dafan na Karta.
3. Museebat k Baad Sabar Aur bholnay ki
Aadat Di
Warna zindagi Kabhi Khusghawar na Hoti.
To Tum Apne Rab ki Kon Kon si Naimat ko
Jhutlaao gey?
-
Ashfaq Ahmed ZAVIA
Ashfaq Ahmed ZAVIA Mein Likhtay Hain:
"Mere Pas 1 Bili Thi.
Us Ko Jab Bhuk Lagti Thi Aa Kr Mere Paun
Chat'ti Thi.
Aur Mein Usy Khana Dai Deta Tha.
Eik Din Mene Socha K Ye Bili Mujh Sy Behtar
Hai.
Is Ko Pakka Yakeen Hai K Apny Malik K Pas Sy
Is Ki Talab Puri Ho Gi,
Aur Insan Ko Yakeen Nahi.
Insan Har Fikar Apny Zimay Lai Laita Hai.
Un Kamon Ki Bhi Jo Us K Ikhtiyar Mai Nahi.
Apni Har Talab ALLAH Se Maango
Aur Qabooliyat Ka Mukamal Yaqeen Rakho.
-
Hukumranon ko Bura Na Kaho
Nabi (s.a.w) Said: Musalmano! Apne
Hukumranon ko Bura na kaho,
Aur Allah se unki bhalai ki Dua manga karo,
Kyu k unki bhalai mei tumhari bhalai hai.
Tibrani
|
-
Gunaho Ki Parda Poshi Karna
Hadees!
Agar Dunia Main Koi Shakhs Dosray Shakh K
Gunahon Ko Chupata Hai
Aur Parda Poshi Karta Hai
To Roz-e-Qiyamat ALLAH TA'ALA Bhi
Us Ke Gunahon ki Pardha Poshi Kare Ga Aur
Usay Muaf Kar De Ga.
-
Subah Uth Kar Kalma Parho
Jab Subha Utho to Kalma Tayyba Parho
Kyon k Marne k baad jab Qabar Mai Farishte
Hum Se sawal jawab karne Aengay or humain
Utthaengy or Pochhengy
K tumhara RAB kon Hai?
Tumhara DEEN kya hy?
To hum Apni Aadat k mutabiq Kalma Tayyaba
Parte Hue Utthengy
Or Kalma Tayyaba Mai He un Farishton k
Sawalon k Jawab Mojod Hen.
-
Mai Faqat KHAAK Hon
Mai Faqat KHAAK Hon Magar.
"MOHAMMAD" (S.A.W) Se Hai Nisbat Meri,
Yehi Ek RISHTA Hai Jo Meri AUQAAT badal Deta
Hai.
-
1 Shakhs Gunah Karta Hai
Hadees!
Tum Me Se 1 Shakhs Gunah Karta Hai
Aur Is Ka Gunah Nama Amaal Me Likh Dia Jata
Hai,
Phr Wo Toba-o-Astaghfar Krta
To ALLAH TA'ALA use Muaf Kar Deta Hai!
Aap(S.A.W.W)Ne Yeh Irshad 2 Bar Frmaya,
Phr Frmaya K Jub Tak Tum Toba-o-Astaghfar Se
Na Uktao
To ALLAH TA'ALA Muaf Karne Se Nahi Uktata."
Tibrani
-
Buraai Hotey Dekhen To
RASOOLULLAH (Sallallaho Alaihey Wa Sallam)
Ne Farmaya,
"Jab Log Buraai Hotey Hoey Dekh Lain
Or Usey Badalney (Rokney) Ki Koshish Na
Karen
To Qareeb Hai K ALLAH Unhen Apney Azaab Ki
Girift (Pakar) Me Le Ley."
(Abu Da'od Hadith# 4338, Tirmizi Hadith#
2178)
-
Allah Kahan Rahta Hai?
Log Hain Khoj Main, Allah Kahan Rahta Hai,
Qalb e Momin Main Wo Har Aan Nehaan Rahta
Hai.
Torh Kar Dekh le Khud apne hi 'dill' ko Aye
Dost,
Aap Dekhe Ga k Allah d_l_l l Yahan Rahta
Hai.
Chalen dill khol k Dekhte Hain.
dill
d_ill
d_i_ll
d_i_l l
Kahiye ALLAH Nazar Aaya? Taalib e Dua:
-
Sab Se Behtreen Sadqa
Hadees!
Hazrat Abu Huraira (R.A) se Riwayat hai K
Rasool-e-Akram (S.A.W.W) ne Farmaya,
1 Dinaar Woh Hai Jo Tu ne ALLAH ki Raah mein
Kharch Kar Diya
Aur
1 Dinaar Woh Hai Jo Tu Ne Ghulaam Aazad
Karne mein Sarf Kiya
Aur
1 Dinaar Woh Hai Jo Tu ne Miskeen par Sadqa
Kiya
Aur
1 Dinaar Woh Hai Jo Tu Ne Apne Ehl-o-Ayaal
par Sarf kiya.
In Mein Sab se Zyada Bayis-e-Ajr-o-Sawaab
Woh Hai
Jo tu ne Apne Ehl-o-Ayaal par Sarf Kiya.
{Muslim Sharif}
-
Haya Aur Behayai
Nabi (S.A.W) Said: Haya Emaan Mai Se Hai.
Aur Emaan Jannat Mei Le Jata Hai.
Aur
Behayai Koora Karkat Hai
Aur Koora Karkat Aag Mai Le Jata Hai. Tirmzi
-
Sab Se Wazni Cheez
Hadees!
"Sab Se Wazni Cheez Jo Qayamat Kay Din
Momin K Meezan Mein Rakhi Jae Gi
Wo Us ka "Husn-e-ikhlaq" Hoga." (Abu
Daa'ud).
-
Azmat-E-Baatil Dhoka Hai
Ye Azmat-E-Baatil Dhoka Hai,
Ye sarwat-E-Kaafir kuch B nhi
Mitti k khilone hain saare,
Ye kuffar k lashkar kuch bhi nhi
AllAH sE Darny walon ko,
Baatil sE Darana mushkil Hai
Gar Khauf-E-Khuda Ho Dil mE Tu
Taaghoot k paikar kuch bhi nhi
Dastoor B Hai, Tanzeem B Hai,
Tehzeeb B Hai Taleem B Hai
Manshoor Jo apna Quraan Ho,
Kisraa-O-Qaisar kuch B nhi
Quraan agar Dastoor nhi,
Islaam agr manzoor nhi
Tu laanat is Azaadi per,
Ye Mulk yE parcham kuch B nhi.
|
-
Achai Aur Burai Ki Misaal
Burai ki Misaal Aisay Hai Jesy Pahaar Se
Nechy Utarna,
Ek Qadam Uthao Tou Baki Uthty Chaly Jaty
Hain.
Aur
Acchai ki Misaal Aisay Hai Jaisy Pahar Par
Charna
Aik Qadam k Bad Agla Gadam Na'mumkin Lagta
Hai.
-
Ye Gustakhan-e-Rasool
Rab Ke Mehboob, Sahi Raah Dikhane Wale,
Ahl-e-Eman Teri Aan Per, Mar Jane Wale,
Bach Nahi Sakte Saza Se, Ye
Gustakhan-e-Rasool,
Khaak ho Jayen ge, Khaakon K Banane Wale!
Do Not Use Facebook.
-
Allah Ko Naraz Kar Dia
ALLAH ne "SOOD" se Roka,
Humne Bank Bana diye,
ALLAH ne "Zina" se roka,
Humne Cable chala dia,
ALLAH ne "Parde" ka hukm dia,
Humne be-hyai ko aam krdia,
ALLAH ne kaha mere NABI ki sunnat ko na
chorna,
Humne Ghairo k Tariqe apna lye,
ALLAH ne kaha QURAN me tmhari kamyabi
poshida hai,
Hum usy OXFORD ki kitabo me dekhte hen,
Zara Sochiye k hm isi wja se preshan or
Zalil ho rahe hen,
Jisko Razi Karna tha usi ko Naraz Kar Dia.
-
Seene Se Emaan Hai Ghayab
Seene se Hamare Kahin Emaan hai Ghayab,
Muslim hain per Pehchan Ghayab.
Dunia ki Lazzatoun Main bus Mashghol Hain
Hum Sub,
Or Dil se RAB-PAK ka Farman Hai Ghayab.
Hum Samne Kaise jayn Gey KHUDA K,
Jab Aakhrat ka Sabhi Saman hai Ghayab.
(Namaz Qaim Kijye or Apni Aakhrat Sanwaren)
JUMMA MUBARAK
-
Jumma-tul-Mubarak ki Dua
Jumma-tul-Mubarak ki Dua:
Allah Aapki Umer Lambi Kary
Allah Aapko Khush Rakhy
Allah Aapke Rizq Main Barkat De
Allah Aapki Har Murad Puri Kary
Yaad Ho Gaya?
Chal Pakar Pyala or Pohanch Masjid Pe. :-)
-
Allah Bohat Meherban Hai
ALLAH Rab-ul-Izzat Kitna Kareem or Meherban
hai.
Hamari Ibadat or Taqwa Hamare Chehre Se
Zahir Karta Hai.
Magar
Hamare Gunah Doosron Se Chupata Hai.
-
Iblees Bhi Musalman ho Jaye
Husn-e-Kirdar Se Noor-e-Mujasim Ho Ja...
K Iblees Bhi Tujhey Dehkey to Musalman ho
Jaye...
-
Rizq Main Kami Ho To?
Jab Kabhi Tum Ko Apnay
"RIZQ"
Mein Kami Nazar Aany Lagy
To Kuch Maal
"ALLAH" Ki Raah Mai De Kar
"ALLAH" K Saath "TijaaraT" Kar Liya Karo.
-
Allah Ko Ghafil Na Samjho
Zulm Karne Walon Ko Kartooton Se Allah Taala
Ko Ghafil Na Samjho.
Woh To Unhain Us Din Tak Mohlat Diye Huye
Hain.
Jis Din Aankhen Phati Ki Phati Reh Jaengi.
(Surah Ibrahim, Ayat:24)
-
Lazzat Aur Mushaqqat
Imam Ghazali R.A Farmatay Hain.
Lazzat Ki Khatir Gunah Mat Karo.
Lazzat Khatam Hojaegi,
Lekin Gunah Baqi Reh Jaega.
Aur
Mushaqqat Ki Khatir Neki Mat Choro.
Mushaqqat Khatam Ho Jaegi,
Lekin Neki Baqi Reh Jaegi.
|
No comments:
Post a Comment